Friday, 19 July 2013

•»BUZURGON KI NAMAZ«•


•»BUZURGON KI NAMAZ«•

HIQAYAT:-

Hazrat Haatim Asam Rehmatullah Ta'aala Alaihi Se Kisine Daryaft Kiya Ki Aap Namaz Kis Tarah Padhte Hain! Aapne Farmaya Ki Jab Namaz Ka Waqt Aata Hai To Main Jaahir Ka Wazu Karta Hoon Aur Baatin Ka Wazu Bhi

Karta Hoon! Wo Wazu Mera Is Tarah Hota Hai Ki Jaahiri Wazu Pani Se Karta Hoon Aur Baatini Wazu Tauba Ke Pani Se Karta Hoon! Fir Masjid May Dakhil Hota Hoon Aur Kaaba Sharif Ka Mushahida Karta Hoon! Makaam-A-Ibrahim Ko Dono Aabru Ke Darmiyan Rakhta Hoon Aur Bahisht Ko Apni Dahine Taraf Aur Dozak Ko Bayin Taraf! Pulsiraat Ko Apne Kadmon Ke Niche Rakhta Hoon! Malkul Maut Ko Pusht Ke Piche Khayal Karta Hoon Aur Dil Ko Khuda Ki Taraf Mutawajjah Karta Hoon Balki Usko Saop Deta Hoon! Us Waqt Badi Taazim Ke Sath Takbir Kehta Hoon! Badi Hurmat Ke Sath Kayaam Karta Hoon! Badi Haibat Wa Shaukat Ke Sath Kir-at Karta Hoon Aur Badi Azizi Ke Sath Ruku May Jata Hoon! Nihayat Azizi Ke sath Sajda Baja Lata Hoon! Bahot Hi Hilm Wa Burdhbari Ke Sath Qaida May Bait-ta Hoon! Nihayat Sukr-Guzaari Ke Sath Salam Fherta Hoon! Main Is Tarah Namaz Padhta Hoon!
(Tazkiratul Auliya, Pg-302)

SABAK:-
ALLAH Walon Ki Namaz Wakayi Namaz Hoti Hai! Ek Hamari Namaz Bhi Hai Ki Hazaar Khamiyan Usme Payi Jati Hain! Fir Ek Shaks Jisne Saari Umr Namaz Padhi Hi Na Ho Wo Un ALLAH Walon Per Ehteraaz Kare To Wo Kis Qadr Na-Aakibat Andesh Hai!

•»NASIHAT«•

Ek Sahab Hai Jo Maaldar Hoker Kabhi Qurbani Nahi Karte The, Aur Maulwi Sahab Se Malum Kar Rahe The Ki Hazrat Ismayil Alaihi Salam Ki Jagah Zibah Karne Keliye Jo Doomba Laya Gaya Tha Wo Nar Tha Ya Maada Aur Uska Gosht Kisne Khaya Tha!
Wahin Unih Ke Jaise Dusre Sahab Bole Ki Wo Dumba Andua Tha Ya Khassi?
Garz Ki Is Kism Ke Gair Zaruri Sawalaat Karne Ka Mahol Bangaya Hai! Awaam Ko Chahiye Ki Taarikhi Baaton May Na Padker Namaz, Roza Wagaira Ahkaam Shari-at Sikhen Aur Islami Aqide Malum Karen, Yahi Chizen Asl Ilm Hain!
(Galat Fehmiyan Aur Uski Islah Pg-139)

Q) How many times has the Qur'an stressed about Salaat or Namaaz (prayer)?
A) 700 times

Namaaz e Zuhdaan, Sajda, Sujood
Namaaz e Aashiqaan, Tark e Wujood.....!!!!!

zahidon ki namaz sajda aur sujood se hoti hai lekin ashiqon ki namaz apne wujood ko mita kar hoti hai.

"NAMAZO'N KI PABANDI KARAY'N"
"DUA'ON KA MOHTAJ HU'N"
"DUA KI KHAAS DARKHWAST"

"JAZAK ALLAHU ANNI KHAIRAN KASEERAN KASEERA"

1 comment:

  1. Dislamicbooks allows you to download Allah Walon ki Namaz in Hindi.
    http://www.dislamicbooks.com/2015/12/download-allah-walon-ki-namaz-pdf-in.html

    ReplyDelete