Friday, 19 July 2013

(S.A.W),(A.S),( R.A),(R.H) Likhna kaisa?

TOPIC:
(S.A.W),(A.S),( R.A),(R.H)
Likhna kaisa?
Rasool Allah sallallaho laihi wa sallam k
Naam-e-Nami Ism-e-Girami
“MUHAMMAD” sallallaho alaihi wa sallam k aage bajaye Darood Sharif k sirf
(SAW) likhna ya Alaihis salam ki jaga
(AS) likhna sakht mahroomi aur aala
darje ki kam Naseebi hai.Imam
Jalaluddin suyyoti alaihir rahma’h ne
farmaya k jis ne sab se pahle Darod sharif ka aisa Ikhtesar kiya us ka Hath
kata gaya,Imam tahtawi ne Hashiy-e-
Durre Mukhtar me ise Kufr tak farmaya
aur Waqai agar janbujh kar istikhfaf
Shan (halkapan) ho to kufr hai. Yunhi
Sahaba’h aur Buzurgan-e-Deen k namo’n k sath bajaye radi Allahu
anho,rahmatullah alahi k khali (RA,RH)
likhna bhi mana hai aur khair-o-barkat se doori hai.

No comments:

Post a Comment