Sunday, 21 July 2013

***Kya Gair Sahaba Ko Radiyallahu Anhu Kehna Jaiz He? Ya Nahi?***

***Kya Gair Sahaba Ko Radiyallahu Anhu Kehna Jaiz He? Ya Nahi?*** 

>>Aaj Kal Dekha Jata He Ke Kuchh Padhe Likhe Jaahil Jo Chand Kitabe Padhne Ke Baad Azmate Aulia Aur Shane Aulia Me Bahes Karte He Aur Unpar Aitraaz Karte He. Unke Kai Aitraazat Me Se Ek Aitraaz Ye Bhi He Ke Aulia Jo Sahaba Ke Baad He Unko Radiyallahu Anhu Nahi Kehna Chahiye “GAIR SAHABA KO RADIYALLAHU ANHU KEHNA JAIZNAHI”. 

Aaiye Ham Aapko Bade Bade Imam, Ulma, Fuzla, Fuqha Aur Khud Inke Bade Aalimo Ki Kitabo Se Batate He Ke “GAIR SAHABA KO RADIYALLAHU ANHU KEHNA BILKUL JAIZ HE”. 

>>Pehle Aap RADIYALLAHU ANHU Aur REHMATULLAH ALAYH Ka Maana Dekhiye 

*Radiyallahu Anhu :-- Allah Unse Raazi Huva 

*Rehmatullah Alayh :-- Allah Ki Rehmat Unpar 

>>Gair e Sahaba Ke Liye Radiyallahu Anhu Ka Istemaal Karna Jaiz He. Jesa Ke “Durre Mukhtar Ma’a Shami” Jild 5 Me He Ke “Sahaba Ke Liye Radiyallahu Anhu Kehna Mustahab He Aur Uska Ultaa Yaani Sahaba Ke Liye Rehmatullah Alayh Aur Gair Sahaba Yaani Tabain, Ulma Mashaikh Ke Liye Raajeh Mazhab Par Radiyallahu Anhu Bhi JaizHe. 

(1)Mohaddis e Kabir Hazrat Shaikh Abdul Haq Mohaddis Dahelvi Readiyallahu Anhu Jinko Kutub Khana Rahimiya Deoband Ne Kitab “AKHBARUL AKHIYAAR” Ke Title Page Par Sayyedul Muhaqqiqin Aur Barguzidae Janabe Baari Likha He, Unhone Apni Mash’hoor Kitab “Ashiatul Lamaat Jild 4 ” Me Hazrat Sayyedna Owais Qarni Ko Radiyallahu Anhu Likha (Jab Ke Wo Sahabi e Rasool Nahi He). Aur Hazrat Sayyedna Imame Aazam Abu Hanifa Ko Allama Ibne Aabidin Shami Rehmatullah Alayh Ne “Shaami Jild 1” Me Kul 6 Jagah Radiyallahu Anhu Likha (Ye Bhi Sahabi e Rasool Nahi He). 

(2) Unhi Allama Ibne Aabidin Shami Ne Usi Kitab Usi Jild Me Kul 7 Jagah Par Hazrat Imam Shafai Ko Aur Hazrat Sahal Bin Abdullah Tastari Ko Radiyallahu Anhu Likha Jabki Ye Dono Buzurg Bhi Sahabi Nahi. Aur Hazrat Allama Fakhruddin Raazi Rehmatullah Alayh Ne Apni Mash’hoore Zamana Kitab “Tafsire Kabir” Me Imam e Aazam Ko Radiyallahu Anhu Likha Aur Mulla Ali Qari Ne Bhi “Mirqat Sharhe Mishkaat Jild 1” Me Imam e Aazam Aur Imam Shafai Ko Radiyallahu Anhu Likha. 

(3) Hazrat Allama Ahmed Shahabuddin Khaffazi Ne Apni Kitab “Nasimurriyaz Jild 1” Me Hazrat Allama Qazi Ayaaz Ko Radiyallahu Anhu Likha Jabke Hazrat Allama Qazi Ayaaz Na To Sahabi He Na Taabai Na Tabe Taabai Balke Aap 6thi Sadi Hijri Ke Aalim The. Aur Sayyedul Mohaqqiqin Hazrat Shaikh Abdul Haq Mohaddis Dahelvi Ne Apni Kitab “Ashiatul Lamaat Aur Akhbaarul Akhiyaar” Me Kul 15 Maqam Par Huzur Sayyedi Sarkar Gouse Aazam Shaikh Abdul Qadir Jilani Ko Radiyallahu Anhu Likha Aur Saari Duniya Jaanti He Ke Huzur Gouse Paak Na To Sahabi The Na Taabai Na Tabe Taabai. 
*Ab Aam Deobandi Jo Radiyallahu Anhu Ko Sahaba Ke Sath Khas Samajhte He Aur Gair Sahaba Ko Radiyallahu Anhu Kehne Par Ladte Jhagadte He Unke Peshwa Molvi Qasim Naanotvi Aur Molvi Rashid Ahmed Gangohi Ko Bhi Radiyallahu Anhu Likha Gaya He…Mulaheza Farmae.. 

(4) Deobandiyo Ki Mash’hoor Kitab “Tazkiratu Rashid Jild 1” Par He Ke “Moulana Mohammed Qasim Sahab Aur Moulana Rashid Ahmed Sahab Radiyallahu Anhuma Chand Roz Ke Baad Aise Ham Sabak Bane Ke Aakhirat Me Bhi Sath Na Chhoda” 
>>Aapne Upar In Hawala Jaat Baato Ko Mulahiza Farmaya Ab In Tamam Baato Ka Khulasa Me Qurane Paak Ki Aayate Karima Se Kardoo. Quran eKarim Ne Bhi Is Baat Ki Taaid Ki He Ke RadiyallahuAnhu Ka Lafz Sahaba Ke Sath Khas Nahi He. “Radiyallahu Anhum Varadu Anhu Zaalika Liman Khashiya Rabbah” (Sura e Bayyinah P. 30) Yaani “Radiyallahu Anhum Varadu Anhu Un Logo Ke LiyeHe Jo Apne Rab Se Dare” Tafsire Madarik Jild 4 MeHe Ke “Raza Yaani Radiyallahu Anhu Varadu AnhuUn Logo Ke Liye He Jinke Dil Me Rab Ki Khashiyat Ho” Aur Imam Fakhruddin Raazi Ne Bhi Likha He Ke “Khashiyat Ulama e Kiram Ka Khassa He” 

>>In Tamam Shavahid Se Roze Roshan Ki Tarah Vaaze Ho Gaya Ke Radiyallahu Anhu Ka Lafz Sahab e Kiram Ke Sath Khas Nahi He Agar Ye Lafz Unke Sath Khas Hota Yaani Gair Sahaba Ko Radiyallahu Anhu Likhna Jaiz Na Hota To Bade Bade Mohaqqiqin Jo Apne Waqt Me Ilm Ke Aaftab o Maahtab The Ye Log Gair Sahaba Ko RadiyallahuAnhu Hargiz Na Likhte. 

>>Me Is Post Ko Padhne Wale Tamam Logo Se Guzarish Karunga Ke Jab Bhi Koi Jaahil Shakhs Kahe Ke Gair Sahabi Ko Radiyallahu Anhu Na KahoTo Usko Ye Post Msg Karde Aur Kahe Ke Pehle Iska Jawab De Ke Tu Zyada Padha Likha Ilm Wala He Ya Is Ummat Ke Bade Bade Ulma.? 

...Ya Allah hamen haq bat kehne aur haq bat samjhne ki toufiq ataa farma 
Aameen...

No comments:

Post a Comment