Friday, 19 July 2013

Nabi Alaihissalaam par durood bhejna Allah ta'ala ki sunnat hai...!!


Quran-e-Kareem 0 Furqan-e-Hameed ke para number 22 ke 4th ruku ki ayat ek ayat hai

{ IN-AL-ALLAHA WAMALAIKATAHU YUSALUNA AL AN NABI YA-AYU HAL LAZINA AMANU SALU ALEYHI WASALIMU TASLEEMA }

TRANSLATION :-
BESHAK ALLAH TA'ALA AUR USKE FARISHTE NABI (Sallallahu alaihe wasallam) PAR DAROOD BHEJTE HAI AYE IMAAN WALO TUM BHI UN PAR KHOOB DAROOD 0 SALAM BHEJA KARO !



[1] Darood gunaho ka kafara hai
[2] Darood se amal pak hota hai
[3] Darood padhne se darajat buland hote hai
[4] Darood padhne ke liye ek qirat ajar likha jata jo ke uhud pahad jitna hota hai
[5] Darood padhne wale ko pemane bhar bhar ke sawab milta hai
[6]Jo shakash darood ko hi apna wazeefa bana leta hai Allah pak us ke duniya aur aakhirat ke kaam apne zime le leta hai
[7] Darood padhne ka sawab ghulam azad karne se bhi afzal hai
[8] Darood padhne wala har kisam ke haulo se nijat pata hai
[9] Waliye do jahan nabi (Salallaho Alehi Wassalam) darood padhne wale ke imaan ki khud gawahi denge
[10] Darood padhne wale par Aqa do jahan ki shifa’at wajib hojati hai
[11] Darood padhne wale ke liye Allah Ta’ala ki raza aur rehmat likh di jaati hai
[12] Allah Ta’ala ke ghazab se aman likh diya jata hai
[13] Us ki peshani pe likh diya jata hai ke yeh nifaq se bari hai
[14] Likh diya jata hai ke yeh dozakh se bari hai
[15] Darood padhne wale ko roz-e-hashar Arsh-e-Ilahi Ke neeche jagah di jayegi
[16] Darood padhne wale ki nekiyoun ka pallada wazani hoga
[17] Darood padhne wale ke liye jab woh Hoz-e-Kausar par jayega tab khasosi inayat hogi
[18] Darood padhne wala qayamat ke din sakhat pyaas se aman mai hoga
[19] Woh pul siraat se tezi aur asani se guzar jayega
[20] Pul sirat par use noor ata hoga
[21] Darood padhne wala maut se pehle apna muqam jannat mai dekh leta hai
[22] Darood ki barkat se maal badhta hai
[23] Darood padhna ibadat hai
[24] Darood padhna Allah Ta’ala ko humare sab amalo se zayada pyara hai
[25] Darood pak majliso ki zeenat hai
[26] Darood pak tangdasti ko dur karta hai
[27] Jo darood padhe ga woh roz-e-hashar Madani aqa ke sab se zayada qareeb hoga
[28] Darood agar padh kar kisi marhoom ko bakhsha jaye to use bhi nafa deta hai
[29] Darood padhne se Allah Ta’ala aur uske habib ka qurb naseeb hota hai
[30] Darood padhne se dushmano par fatah aur nusrat hasil hoti hai
[31] Darood padhne wale ka dil zang se pak hojata hai
[32] Darood pak padhne wale shakash se log mohabbat karte hai
[33] Darood padhne wala logo ki ghibat se mehfooz rehta hai
[34] Sab se badi naimat darood padhne ki yeh hai ke use khawab mai pyaare pyaare aqa ki ziyarat hoti hai
JUZB AL-QALUB MAI DARJA-E-ZIL FAZAIL BAYAN HAI
[35] Ek bar darood padhne se 10 gunah maaf hote hai 10 nekiyan milti hai 10 darje buland hote hai 10 rehmate naazil hoti hai
[36] Darood padhne wale ki dua hamesha qabul hoti hai
[37] Darood padhne wale ka kandha(shoulder) jannat ke darwaze par nabi (Salallaho Alehi Wassalam) ke kandhe mubarak ke saath chu (touch) jayega SUBHAN ALLAH
[38] Darood padhne wala qayamat ke din sab se pehle aqa ke pas pohanch jayega
[39] Darood padhne wale ke sare kamoun ke liye qayamat ke din inayat hogi
[40] Darood padhna duniya aur aakhirat ke har dar 0 gham ka wahid elaz hai
[41] Darood ruhaniyat ke khazane ki chabbi hai
[42] Darood pak aashiqo ki meeraj hai
[43] Darood pak padhna munafa he munafa hai aur yeh munafa darood padhne wale ko jannat tak pohancha deta hai
[44] Darood pak Allah Ta’ala ki narazgi se bachne ka asan amal hai
[45] Darood ek aisi ibadat hai jis ka faida usi ki taraf laut ta hai jo isko padhta hai
[46] Darood pak padhna aisa hai ke jesa apni zaat ke liye dua karna hai
[47] Darood pak padhne wala ruhaani taur par tarbiyat-e-Muhammad (Salallaho Alehi Wassalam) mai hota hai
[48] Darood ki kasrat karna ahl-e-sunnat ki allamat hai
[49] Darood padhne wala har majlis mai zaib 0 zeenat hasil karta hai
[50] Darood pak padhne wale ko baroz-e-hashar maidan-e-hashar mai jannat ki rahein khuli milengi Inshallah
[51] Darood pak padhne wale ke badan se khusbu aaya karegi
[52] Darood padhne wale ko hamesha neki karne ki khawahish raha karegi
[53] Darood padhne wale ka naam bargahe risalat mai liya jayega
[54] Darood padhne wala marne tak imaan par qaim rahega
[55] Darood padhne wale ke liye zameen 0 aasman walo ki duaein waqaf rahengi
[56] Darood pak padhne wale ko zaat mai aamal mai umar mai aulaad mai aur maal 0 asbab mai barkat hogi jiske 4 pushto tak aasar zahir honge
[57] Darood padne wale ka ghar roshan rahega
[58] Darood padhne wale ka chehra purnur aur guftar mai halawat hogi
[59] Darood pak padhnewale ki majlis mai bethne wale ki majlis mai log khush honge
[60] Darood pak padhne wale ki daawat ka sawab 10 gune hoga
[61] Darood padhne wala farishto ka imam banega
[62] Darood padhne wala Huzur ki qaul 0 fail ki itaba karega
[63] Darood pak padhne wale ki kashti toofano se Inshallah par hogi
[64] Darood padhne wala hamesha naik hidayat hasil karega
[65] Darood pak padhne wala thode hi arse mai ghani hojata hai
[66] Darood padhne wala duniya mai maroof hojata hai
[67] Darood padhne wale shakash ki zuban se maidan-e-hashar mai noor ki kiranein nikalen gi
[68] Darood pak se aankho ko noor milta hai
[69] Darood se sehat barqarar rehti hai
[70] Darood se aqa ki mohabbat ka jazba aur badhta hai
[71] Darood padhne wale ko kisi ki mohtaji na hogi
[72] Jaan asani se niklegi
[73] Qabar mai wusa’at hogi
[74] Niza ka waqat asan hoga
[75] Tamam kam asan ho jayenge
MAJLIS MAKTAB AL-MADINA KE RASALE ZAYA DAROOD 0 SALAM RISALA # 13 MAI DARJA-E-ZIL FAWAID BAYAN HAI
[76] Musalman jab tak mujh par darood padhta hai farishte us par rehmat bhejte rehte hai ab yeh insaan ki marzi hai ke kam le ya zayada
[77] Namaz ke baad hamd 0 sana 0 darood padhne wale se kaha jata hai “DUA MANG QABOOL KI JAYEGI SAWAL KAR DIYA JAYEGA”
[78] Jibrail (A.S) ne mujh se arz kiya ke Rab Ta’ala farmata hai aye Muhammad (s.a.w) kya tum is baat pe raazi nahi ke tumhara ummati tum par ke salam bheje mai us par 10 salam bhejoun
[79] Jis ne mujh par 10 martaba darood padha Allah us par 100 rehmatein nazil karta hai
[80] Jis ne mujh par 100 martaba darood bheja Allah Ta’ala uski dono aankho ke darmayan yeh likh deta hai ke yeh nifaq aur jahanum ki aag se azad hai aur use baroz-e-qayamat shuhada ke saath rakhega
[81] Jo mujh par ek din mai 1000 martaba darood padhega woh us waqat tak nahi marega jab tak ke woh apna muqam jannat mai na dekh le
[82] Jis ne din aur raat mai shoq 0 mohabbat ki waja se mujh par 3 /3 martaba darood padha to HaqTa’ala us ke us din aur raat ke gunah bakash deta hai
[83] Beshak tumhare naam bama shinakhat mujh par pesh kiye jaate hai lihaza mujh par ehsan yaani khoobsoorat alfaz mai darood padho
[84] Beshak hazrat jibreel ameen ne mujhe basharat di ke “jo Aap (Salallaho Alehi Wassalam) par darood padhta hai Allah Ta’ala us par rehmat bhejta hai aur jo Aap (Salallaho Alehi Wassalam) par salam padhta hai Allah us par Salamti bhejta hai
[85] Mujh par darood ki kasrat karo beshak yeh tumhare liye taharat hai
[86] Allah pak ki khatir aapas mai mohabbat rakhne wale jab baham mile aur musahfa kare aur nabi par darood bheje to un ke juda hone se pehle un ke agle pichle gunah baksh
diye jaate hai
[87] Jis ne kitab mai mujh par darood likha to jab tak mera naam us mai rahega farishte us ke liye astagfar karte rahenge
[88] Aye logo beshak qayamat ke din uski dehshaton aur hisab kitab se jald nijat hogi jis ne duniya mai kasrat se darood padha
[89] Jis ko yeh pasand ho ke Allah Ta’ala ki bargah mai pesh hote waqat Allah us se Raazi ho to use chaiye ke woh darood ki kasrat kare
[90] FARZ hajj karo beshak us ka ajar 20 ghazwat mai shirkat karne se zayada hai aur Mujh par 1 martaba durood padhna us ke barabar hai
[91] Jo mujh par din mai 100 martaba darood padhega Allah Ta’ala us ki 100 hajat puri farmayega
[92] Beshak mujh par darood padho mai tamam jahano ke rab ka rasool houn
[93] Darood shareef padhna tumhare liye qayamat mai noor hoga
[94] CHAMAKTI RAAT [SHAB-E- JUMA] AUR ROSHAN DIN [JUME KA DIN]{YANI JUMERAAT KA AFTAB GHAROOB HONE SE JUME KA SOORAJ DOOBNE TAK}MUJH PAR DAROOD KI KASRAT KARO JO AISA KAREGA QAYAMAT KE DIN MAI US KA SHA’AFI AUR GAWAH BANOUGA Inshallah
[96] Jo jumah ke din mujh par 80 bar darood bhejega uske 80 saal ke gunah maaf honge Inshallah
[97] Jo shaksh Jumah ke din Mujh par 100 martaba darood padhega to qayamat ke din jab woh aayega to us ke saath ek aisa noor hoga ke agar woh saari makhloq ko taqseem kar diya jaye to woh sab ko kifayat kare
[98] Jis ne Juma ke din mujh par 200 martaba darood padha Allah Ta’ala us ke 200 saal ke gunah maaf farmayega Inshallah
[99] Jumeraat aur shab-e-jumah ko jo mujh par 100 martaba darood padhega to Allah Ta’ala uski 100 hajatein poori karega jis mai Se 70 Akhirat ki Aur 30 duniya ki Inshallah
[100] FARMANE-ABDULLAH-IBN-UMAR-BIN-AAS (Radiallahu ta'ala anhu) HAI “jo nabi pak par ke baar darood padhe to Allah Ta’ala aur malaika us par 70 martaba rehmat bheje”

No comments:

Post a Comment