Friday, 19 July 2013

«MOAJIZA«


HIQAYAT:-

Ek Martaba Huzoor SALLALLAHU-ALAIHI-WASALLAM Ek Talaab Ke Kinare Tashrif Farma The Ki Wahan Abu Jahal Ka Beta Ikrama (Radi-Allahu-Anhu Yeh Baad May Musalman Hogaye) Aaya Aur Kehne Laga Agar Aap Sacche Hain To Wo Jo Talaab Ke Dusre Kinare Per Patther Pada Hain Use Hukm Dijiye Ki Wo Pani Per Tairta Hua Aapke Paas Pahuch Jaye Aur Doobe Nahi!
Huzoor SALLALLAHU-ALAIHI-WASALLAM Ne Us Patther Ki Taraf Ishara Farmaker Farmaya Ki Mere Paas Aao! To Wo Patther Usi Waqt Apni Jagah Se Ukhadker Pani May Aagaya! Pani Ke Uper Tairta Hua Huzoor Ki Khidmat May Haazir Hogaya! Ba-Awaaz-A- Bulandh Kalima Sharif Padhne Laga! Huzoor Ne Ikrama Se Farmaya, Bas Ya Kuch Aur Hain? Ikrama Ne Kaha Ab Use Kahiye Ki Yeh Fir Wapas Apne Mukaam Per Chala Jaye, Chunanche Huzoor Ne Fir Use Irshad Farmaya To Wo Wapas Tairta Hua Apni Jagah Chala Gaya!

(Tafsir-A-Razi, Jild-8, Pg-499)

******************************

SABAK:-
Hamare Huzoor SALLALLAHU-ALAIHI-WASALLAM Ke Be-Shumaar Moajizaat Mayse Aapka Yeh Bhi Moajiza Hain Ki Patther Ko Pani Per Taira Diya! Hazrat Nooh Alaihi Salam Ki Bahoat Badi Kishti Ka Pani Per Tairna Bhi Hazrat Nooh Alaihi Salam Ka Moajiza Hi Hain! Magar Usse Badker Yeh Moajiza Hain Ki Pani Per Na Tairne Wali Chiz Taire!
Yeh Bhi Malum Hua Ki Huzoor Alaihi Salam Ki Nazar-A-Karam Aur Aapki Shafa-at Ka Ishara Hogaya To Bade Bade Wazni Gunah Walon Ko Bhi Tairker Wo Paar Laga Dege!
******************************

No comments:

Post a Comment