Hazrat Imaam Tirmizi Alaihir-Rehmaan Ka Aqida:-
(Inteqaal 279 Hijri)
Hazrat Abu Saeed Khudri Radi-Allahu-Anhu Se Riwayat Hain, Unohne Farmaya Ki, "Rasoolallah SALLALLAHU-ALAIHI-WASALLAM Ne Hum Logon Ko Ek Din Asr Ki Namaz Awwal Waqt May Padhayi, Fir Khade Hoker Takrir Farmayi To Kisi Baat Ko Nahi Chhoda, Qayamat Tak Ke Saare Wakiyaat Ki Hame Khaber Di! Jisne Is Takrir Ko Yaad Rakha Wo Yaad Rakha Aur Jo Bhool Gaya Wo Bhool Gaya!"
(Tirmizi Jild-2, Pg-42)
HADEES:-
Hazrat Ibne Umar Radi-Allahu-Anhu Se Riwayat Hain, Unohne Farmaya Ki, "Rasoolallah SALLALLAHU-ALAIHI-WASALLAM Ne Ek Din Fithne Ka Zikr Farmaya To Hazrat Usmaan Radi-Allahu-Anhu Keliye Farmaya Ki Yeh Usme Mazloom (Be-Kasoor) Shaheed Kiya Jayega!"
(Tirmizi Jild-2, Pg-212)
******************************
TASHRIH:-
Malum Hua Ki Imaam Tirmizi Radi-Allahu-Anhu Ka Bhi Yahi Aqida Hain Ki Huzoor SALLALLAHU-ALAIHI-WASALLAM Ko Ilm-A-Gaib Haasil Hain, Warna Yeh Hadeesen, Ki Jin May Qayamat Tak Ki Baatain Batane Aur Hazrat Usmaan-A-Gani Radi-Allahu-Anhu Ke Shaheed Kiye Jane Ki Khaber Dene Ka Zikr Hain, Imaam Tirmizi Unko Apni Kitaabon May Hargiz Shamil Na Karte!
*********************************
No comments:
Post a Comment