Friday, 19 July 2013

Naat Shareef


•»NAAT-KHWANI«•

HIQAYAT:-

Huzoor SALLALLAHU-TA'AALA-ALAIHI-WASALLAM Jab Gazwa-A-Tabook Se Wapas Tashrif Laye Aur Sahaba-A-Kiraam Samet Madina Munavwara May Dakhil Hue To Madina Walon May Khushi Ki Ek Lahar Daud Gayi! Huzoor Ke Isteqbaal K
eliye Sab Aage Bade, Us Waqt Hazrat Abbaas Radi-Allahu-Ta'aala-Anhu Ne Aage Badker Arz Kiya, Ya Rasoolallah! Meri Khwaish Hai Ki Main Huzoor SALLALLAHU-TA'AALA-ALAIHI-WASALLAM Ke Mutallik Kuch Naatiya Ash-aar Arz Karu! Ya Rasoolallah! Mujhe Naat-Khwani Ki Ijazat Dijiye! Huzoor SALLALLAHU-TA'AALA-ALAIHI-WASALLAM Ne Farmaya,

"Kaho Jo Kehna Hai! ALLAH Tumahre Mooh Ko Salamat Rakhe!"

Hazrat Abbaas Radi-Allahu-Ta'aala-Anhu Ne Bargah-A-Nabwi Se Ijazat Paaker Shuru May Naat-Khwani Ki! Huzoor SALLALLAHU-TA'AALA-ALAIHI-WASALLAM Ko Mukhatib Karke In Khayalaat Aaliya (Behtarin Khayalaat) Ka Izhaar Farmaya:
Ya Rasoolallah! Aap Qabl-A-Paidayish Bhi Pak Wa Saaf The Aur Noor The!

Hazrat Nooh Alaihi Salam Ki Kishti Per Bhi Aap Raunak Afroz The!

Hazrat Ibrahim Alaihi Salam Ki Pusht May Bhi Aapka Noor Jalwagar Tha, Jab Wo Aag May Daale Gaye The!

Jab Aap Paida Hue To Aapke Noor Se Zamin Wa Aasmaan Munavwar Hogaye!

Aapki Azmat Wa Buzurgi Bade-Bade Aali Nasab Walon Per Haawi Hai!

Huzoor Hum Aap Hi Ke Noor Aur Aap Hi Ki Roshni May Hai! Aap Hi Ke Noor Ki Badaulat Hum Hidayat May Tarakki Kar Rahe Hain!

Huzoor SALLALLAHU-TA'AALA-ALAIHI-WASALLAM Hazrat Abbaas Radi-Allahu-Ta'aala-Anhu Ki Is Naat-Khwani Se Bade Khush Hue!

(Mawahib Jild-1, Pg-175)

SABAK:-

Naat Padhna Sahaba Ki Sunnat, Naat Sunna Huzoor SALLALLAHU LAIHE WASALLAM Ki Sunnat! Wo Pak Log Apne Huzoor Ki Nasran Wa Nazman Nath-Khwani Kiya Karte The! Huzoor SALLALLAHU-TA'AALA-ALAIHI-WASALLAM Apne Gulamon Ke Mooh Se Apni Naat-Khwani Sunker Khush Hua Karte The! Apne Naat-Khwan Keliye Yeh Dua Farmate The! ALLAH Tumahre Mooh Ko Salamat Rakhe!
Malum Hua Ki Jis Mooh Se Huzoor SALLALLAHU-TA'AALA-ALAIHI-WASALLAM Ki Naat-Khwani Hogi Wahi Mooh Salamat Rahega, Yahan Bhi Aur Wahan Bhi!
Yeh Bhi Malum Hua Ki Naat-Khwani Bid'at Nahi Balki Sahaba-A-Kiraam Ka Yahi Mamul Tha!

Naat-Khwani Maut Bhi Hamse Chhuda Sakti Nahi,,
Qabr Mein Bhi Mustafa Ke Geet Gaate Jayenge...
SALLALLAHU ALAIHE WASALLAM......

No comments:

Post a Comment