Sawaal -Jis shakhs ki farz namazein kaza ho agar wo shabe barat ki raat agar nafl padhe to kya qubool hogi.
Jawab = Rozana 5 waqt ki Namaazo ke nafl ho ya kisi aur mauqa ke, jabtak Farzo poorey na ho inko chhorkar Farzo ki qaza hi parhna chahiye
Alahazrat farmate hain:Shaitaan ka bara dhauka hai ke insaan ko neki ke parda mein halaak karta hai, naadaan samajhta hai ke nek kaam kar raha hu aur ye na jaana ke be Farz ke Nafl ekdam dhauka ka jaal hai, Nafl ke qabool ki umid nahi aur Farz chhorne ka azaab gardan par maujood hai........
Ay aziz! Farz khaas sultaani qarz hai aur Nafl jayse tohfa aur nazraana, qarz na dijiye upar se bekaar tohfey bhejiye kya woh qaabil-e qabool honge? khaaskar us Shahanshaah ki baargaah mein jo tamam jahaan aur jahaan waalo se be niyaaz hai.....
.Jab Allaah ke Rasool (Sallallaahu Alayhi wa Sallam) ke khalifa Hazrat Abu Bakr Siddiq (Radhiyallaahu Anhu) ki naza' (rooh nikalne) ka waqt huwa to aap ne Ameerul Momineen Hazrat Umar Faarooq-e A'zam (Radhiyallaahu Anhu) ko bula kar farmaya: Ay Umar! Allaah se darna, aur jaan lo ke Allaah ke kuchh kaam din mein hain ke unhein raat mein karoge qabool na farmayega, aur kuchh kaam raat mein ke unhein din karo to maqbool na honge, aur khabardaar! koi nafl kaam qabool nahi hota jabtak ke Farz ada na kar liya jaaye.......
Huzoor Syeduna Ghaus-e A'zam Shaykh Abdul qaadir Jeelaani (Radhiyallaahu Anhu) ne apni kitaab Futoohul Ghayb mein kya kya dil cheer dene waali misaalein ayse shakhs keliye irshaad farmayi hain jo farz chhorkar Nafl ada karey, farmate hain: Uski kahaawat aysi hai jayse kisi shakhs baadshaah apni khidmat keliye bulaye, ye waha to haazir na ho aur uske Ghulaam ki khidmat mein maujood rahe.......
phir Ameerul Momineen Syeduna Hazrat Ali se is ki misaal naql farmayi ke woh farmate hain ke Ayse shakhs ka haal us aurat ki tarah hai jise haml raha, jab bachcha payda hone ke din qarib aaye haml gir gaya, ab woh aurat na haml waali hai na bachche waali, mehnat poori uthayi magar natija khaak nahi ke agar bachcha hota to phal khud maujood tha, haml baaqi rehta to aage umid lagi thi, ab na haml hai na bachcha, na umid na phal, aur taklif wohi jheli jo bachchey waali ko hoti......
Isi kitaab (Futoohul Ghayb) mein Hazrat Maula Ali ne farmaya hai ke agar Farz chhorkar Nafl mein mashghool hoga to ye qabool na hongey aur ruswa kiya jayega.....
Hazrat Shaykh Shahaabuddin Sohrwardi Awaariful Ma'arif mein farmate hain ke hamein khabar pahunchi hai ke Allaah koi Nafl qabool nahi farmata yahatak ke Farz ada kiya jaye, Allaah ayse logo se Farmata hai ke tumhari misaal bure bande ki hai jo Qarz ada karne se pehle tohfa pesh kare.....
khud hadees mein hai:Allaah ke Rasool (Sallallaahu Alayhi wa Sallam) ne farmaya:4 chizein Allaah Ta'ala ne Islaam mein farz ki hain jo inmein se 3 ada kare woh usey kuchh kaam na dengi jabtak poori 4 na ada kare, Namaaz, Zakaat, Roza-e Ramazaan aur Hajj-e Ka'ba.....

No comments:
Post a Comment