Friday, 19 July 2013

•••»ILM-A-GAIB«•••


Hazrat Fatima Zahra Aur Ummul Momineen Ka Aqida (Radi-Allahu-Ta'aala-Anhum):-

    Hazrat Abbaas Radi-Allahu-Anhu Se Riwayat Hain Ki Jab Sur-A-Mubaraka "Iza-Jaa-a-Nasrullaahi" Nazil Hui To Huzoor SALLALLAHU-ALAIHI-WASALLAM Ne Hazrat Fatima Zahra Radi-Allahu-Anha Ko Bulaya Aur Unse Farmaya, Ki "Mujhe Meri Wafaat Ki Khaber Di Gayi Hain To Wo Rone Lagi! Huzoor Ne Farmaya Na Ro-o! Isliye Ki Mere Ghar Walon Mayse Sabse Pehle Tum Mujhse Milogi! To Wo Has Padi!"

(Mishkaat Sharif, Pg-549)

    Aur Hazrat Aayesha Siddiqa Radi-Allahu-Anha Se Riwayat Hain Ki, "Ummahaatul Momineen Ne Rasoolallah SALLALLAHU-ALAIHI-WASALLAM Se Arz Kiya Ki Hum May Kaunsi Biwi Ki Aapse Aakhirat May Sabse Pehle Mulakaat Hogi?  Huzoor Alaihi Salam Ne Farmaya, Jiske Hath Sabse Lambe Hain! Yeh Sunker Ummahaatul-Momineen Ne Ek Dusre Ke Hath Naape To Pata Chala Ki Hazrat Sauda Ke Hath Sabse Lambe Hain, Lekin Baad Ke Waaki-aat Ne Bataya Ki Lambe Hath Hone Se Muraad Sadqa Dene Se Zyadati Thi, Aur Hum May Sabse Pehle Inteqaal Karne Wali Hazrat Zainab Thi Jo Sadqa Dene Ko Bahoat Mehboob Rakhti Thi!

(Bukhari Jild-1, Pg-191)
(Mishkaat, Pg-165)

******************************
TASHRIH:-
Huzoor SALLALLAHU-ALAIHI-WASALLAM Ki Is Khaber Per Ki, "Mere Ghar Walon Mayse Tum Sabse Pehle Mujhse Milogi" Hazrat Fatima Zahra Radi-Allahu-Anha Ka Khush Hoker Hasna! Aur Ummahaatul-Momineen Ka Huzoor Se Daryaft Karna Ki Hum Biwiyon Mayse Kaun Aakhirat May Sabse Pehle Aapse Mulakaat Karegi? Aur Fir Huzoor SALLALLAHU-ALAIHI-WASALLAM Ke Irshad Per Ek Dusre Ke Hath Ka Naapna, In Saare Waaki-aat Se Khullam-Khulla Saabit Hain Ki Hazrat Fatima Zahra (Musalmano Ki Maayen) Radi-Allahu-Anhun) Ka Yeh Aqida Tha Ki Huzoor SALLALLAHU-ALAIHI-WASALLAM Ko Gaib Ka Ilm Hain Aur Jo Unohne Farmaya Hain Wahi Hoker Rahega!

No comments:

Post a Comment