Friday, 19 July 2013

•»DUSHMAN KA VAAZ«•


HIQAYAT:

Hazrat Amir Muawiya Radi-Allahu-Anhu Aaraam Farma Rahe The Ki Kisine Awaaz Di Ki Muawiya Uth Fazr Ka Waqt Hogaya! Jamaat Ke Sath Namaz Ada Ker Warna Jamaat Reh Jayegi!
Hazrat Amir Muawiya Radi-Allahu-Anhu Uthe Aur Apne 4ro Taraf Dekha Magar Jagaane Wala Aur Vaaz Sunane Wala Nazar Na Aaya! Aapne Farmaya Ki Miyan Tum Kaun Ho? Awaaz Aayi Ki Main Shaitaan Hoon! Aap Hairaan Hoker Bole Ki Shaitaan Ka Namaz Keliye Jagaana Bahoat Taajjub Ki Baat Hain! Pehle Tum Yeh Batao Ki Tum Is Nek Kaam Ki Targib Kyon De Rahe Ho? Tumahra Isme Kya Maqsad Hain? Awaaz Aayi Ki Hazrat Pichle Hafte Jamaat-A-Fazr Se Reh Gaye Aur Aap Uske Gham May Itna Roye Ki Maine Rehmat Ke Farishte Ki Aapas May Yeh Guftugu Suni Ki Khuda-Ta'aala Ne Hazrat Amir Muawiya Radi-Allahu-Anhu Ke Us Rone Ko Kabul Farmaker 70 Jamaaton Ka Sawab Ata Farma Diya!
To Aye Muawiya! Aaj Tum So Rahe The To Mujhe Dar Paida Hua Ki Agar Aaj Bhi Tumahri Jamaat Reh Gayi Aur Tumne Rona Shuru Kerdiya To Aisa Na Ho Ki Khuda Aaj Fir 70 Jamaaton Ka Sawab De! Isliye Utho Aur Jamaat Ke Sath Namaz Padho! Taaki Tumeh Ek Hi Jamaat Ka Sawab Mile!
(Masnawi Sharif)

SABAK:
Badh-Mazhab Ka Vaaz Agar Quraan Wa Hadees Se Bhi Ho To Bhi Khatarnaak Hi Hota Hain! Musalman Ko Kabhi Kisi Badh-Mazhab Ka Vaaz Nahi Sunna Chahiye Warna Wo Halwe May Zaher Milaker Imaan Ko Zarur Tabah Kerdega!

No comments:

Post a Comment