Wednesday, 24 July 2013

Hum Ahle Sunnat Wal Jamaat Ka Aqeeda Nabi صلى الله عليه وسلم ko Ilme Gaib Hai ALLAH Talah ki Ata se


Hum Ahle Sunnat Wal Jamaat  Ka Aqeeda Nabi صلى الله عليه وسلم ko Ilme Gaib  Hai ALLAH Ta'ala ki Ataa se......

AQEEDA :

ALLAH TAALA hi Alimul ghaib hai aur ALLAH ki ataa se
NABI صلى الله عليه وسلم ilm e ghaib jaante hai.....

ALLAH TAALA k ilm k aage
NABI  صلى الله عليه وسلم  ka ilm kuch nahi aur digar makhlooq k saamne NABI  صلى الله عليه وسلم  ka ilm samundar toh tamam makhluq ka ilm us samander ka ek qatra...

ALLAH ka ilm Qul
NABI صلى الله عليه وسلم ka ilm Baaz....
lekin makhluq se kahi zyada k jiski hadd nahi

Ap Salallaho Alaihi Wasalam ka Ilm e Gaib Atai ha aur Jis Waqt Quran ki Akhri Ayat Nazil Hui Ap SalAllaho Alaihi Wasalam ka Ilam Mukamal hogaya.
Yani AP SALALLAHO ALAIHI WASALAM KO PEHLE ILAM ATA KIA GAYA PHIR AHISTA AHISTA QUL ILAM ATA KERDIGA AYA...HAWALA MUQALAAT E KAZMI PAGE 111 JILD 2 PE AND 156 

ZAATI aur ATAAI Ilm e Ghaib


ZAATI :- ALLAH taala ka Ilm Zaati hai,Yaani Khud ka Ilm,use kisi ne diya nahi,woh apni Qudrat se har chiz karta hai,use Har pal o zarre ki khabar pehle se hi maalum hai,ALLAH k liye ghaib kuch nahi yaani ALLAH k liye koi chiz chupi hui nahi hai.


ATAAI :- Humare Sarkar Sallallahualaihiwasallam ka ilm Ataai hai,Yaani k ALLAH se ilm e ghaib ataa hua hai,Humare Sarkar Sallallahualaihiwasallam ka jo ilm e ghaib hai woh ALLAH ki ataa se hai,khud se kuch nahi aur ALLAH ne kitna Ilm e ghaib ataa kiya yeh baat toh lauh e mehfooz ko b khabar nahi,aap Sallallahualaihiwasallam ko ALLAH ne Bepanha ilm ataa kiya hai.Ataai ilm ki Dalil : SUREH البقرة Ayat no 255

 وَلَا یُحِیۡطُوۡنَ بِشَیۡءٍ مِّنْ عِلْمِہٖۤ اِلَّا بِمَاشَآءَۚ  
 اور وہ نہیں پاتے اس کے علم میں سے مگر جتنا وہ چاہے 

 Yaha ALLAH Talah ne Waze kar diye ki Chun leta hai....

yeh dekho Sureh الجن main ek dum Wazeh kar diye ALLAH Talah ne 
yeh log bahut عٰلِمُ الْغَیۡبِ ki Dalil dete hai jimain ALLAH Talah ke Zati Ilm ki Bat hai Per Nabi صلى الله عليه وسلم Atai Ilm Gaib ki Nafi nahi per yeh Sureh  الجن Ekdum Wajeh kar di hai yeh dekho Ayat Sureh  الجن Ayat no 26

عٰلِمُ الْغَیۡبِ فَلَا یُظْہِرُ عَلٰی غَیۡبِہٖۤ اَحَدًا 
غیب کا جاننے والا تو اپنے غیب پر (ف ۴۸) کسی کو مسلط نہیں کرتا

is Ayat main ALLAH Talah Apna Ilm Bata Raha hai Per Next Ayat main ALLAH Talah Khud Ahle Sunnat Wa Jamat ke Haq Hone ki Dalil de raha hai Mulahza ho  Sureh  الجن Ayat no : 27 

 اِلَّا مَنِ ارْتَضٰی مِنۡ رَّسُوۡلٍ فَاِنَّہٗ یَسْلُکُ مِنۡۢ  بَیۡنِ یَدَیۡہِ  وَ مِنْ خَلْفِہٖ رَصَدًا 
سوائے اپنے پسندیدہ رسولوں کے (ف۵۰) کہ ان کے آگے پیچھے پہرا مقرر کردیتا ہے 

Dusri Ayat main Hum Ahle Sunnat Ke Haq hone ki Dalil 

Sureh  الجن ki Ayat main ALLAH Talah ne Khud Farma diye ki Main عٰلِمُ الْغَیۡبِ hu aur Sureh  الجن  ki Dusri Ayaat main yeh bhi Farma diye per han usi ko Gaib ka ilm deta hun jisko Chun leta hun ab aur dalil Mulahza ho

Sureh آل عمران Ayat no 44

 ذٰلِکَ مِنْ اَنۡۢـبَآءِ الْغَیۡبِ نُوۡحِیۡہِ اِلَیۡکَ  

یہ غیب کی خبریںہیں کہ ہم خفیہ طور پر تمہیں بتاتے ہیں
اس آیت سے معلوم ہوا کہ اللّٰہ تعالیٰ نے
اپنے حبیب صلی اللّٰہ علیہ وآلہ وسلم کو غیب کے علوم عطا فرمائے۔

Sureh  آل عمران Ayat no 179

 وَمَا کَانَ اللہُ لِیُطْلِعَکُمْ عَلَی الْغَیۡبِ وَلٰکِنَّ اللہَ یَجْتَبِیۡ مِنۡ رُّسُلِہٖ مَنۡ یَّشَآءُ ۪ 

اور اللّٰہ کی شان یہ نہیں کہ اے عام لوگو تمہیں غیب کا علم دے دے ہاں اللّٰہ چُن لیتا ہے اپنے رسولوں سے جسے چاہے

yeh meri Tehkik ki Malumat thi aur Bahut si Dalil ha Mere Nabi صلی اللّٰہ علیہ وآلہ وسلم  ke Ilme Gaib Sabit karne ke liye  

No comments:

Post a Comment